Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tu ne jab aakhri khat meraa jalaya hoga
Tune jab phool kitaabon se nikaale honge
dene waala bhi tujhe yaad to aayaa hoga
Ah, ah
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
Muhabbat bhi zaroori thi, bicharna bhi zaroori tha
Zuroori tha ke hum donon tawaaf-e-arzoo karte
Magar phir arzooun ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
Batao yaad hai tum ko, woh jab do ko churaya tha
Churayi cheez ko tum ne khuda ka ghar banaya tha
Woh jab kehte the mera naam tum tasbeeh mein parhte ho
Muhabbat ki namazon ko qaza karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai woh baatein theen mehez baatein
Kaheen baaton hi baaton mein mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
Ah, ah
Wahi hain sooratein apni, wahi mein hoon, wahi tum ho
Magar khoya hua hoon mein, magar tum bhi kaheen gum ho
mohabbat main daga kii thi so kaafir the so kaafir hain
mili hain manzilen fir bhi musafir the musafir hain
teree dil ke nikaale hum kahaan bhatake kahaan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya bhatakna bhi zaroori tha
Muhabbat bhi zaroori thi, bicharna bhi zaroori tha
Zuroori tha ke hum donon tawaaf-e-arzoo karte
Magar phir arzooun ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha