Hamari Adhuri Kahani song lyrics

Hamari Adhuri Kahani Lyrics

Paas aaye..
Dooriyaan phir bhi kam naa hui
Ek adhuri si hamari kahani rahi

Aasmaan ko zameen, ye zaroori nahi
Jaa mile.. jaa mile..

Ishq saccha wahi
Jisko milti nahi manzilein.. manzilein..

Rang thhe, noor tha
Jab kareeb tu tha
Ek jannat sa tha, yeh jahaan..

Waqt ki ret pe kuch mere naam sa
Likh ke chhod gaya tu kahaan..

Hamari adhuri kahani..
Hamari adhuri kahani..

Hamari adhuri kahani..
Hamari adhuri kahani..

Khushbuon se teri yunhi takra gaye
Chalte chalte dekho na hum kahaan aa gaye

Jannatein agar yahin
Tu dikhe kyon nahin
Chaand suraj sabhi hai yahaan..

Intezaar tera sadiyon se kar raha
Pyaasi baithi hai kab se yahaan..

Humari adhoori kahani
Humari adhoori kahani..

Humari adhoori kahani
Humari adhoori kahani..

Pyaas ka yeh safar khatam ho jayega
Kuch adhura sa jo tha poora ho jayega

Jhuk gaya aasmaan
Mil gaye do jahaan
Har taraf hai milan ka samaa..

Doliya hain saji, khushbuein har kahin
Padhne aaya Khuda khud yahaan..

Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani..

Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani..

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top